Ads ....

Wednesday, November 09, 2005

The poem appreciated most

MY THIRD KARWACHAUTH



Aaaj phir se hai roshan sama dekhiye
Aaaj phir se hai sabnam jawan dekhiye,
Mera mahebub mere liye saj raha,
Uske chehre ki rangat jawan dekhiye.

Aankh kitnee gulabi hui ja rahi
Hoth aise ki madira bahi ja rahi,
Sara yauwan hai uska mahkta hua,
Mery duniya ka ye aashiyan dekhiye.

Uska kahna suno ji main thakne lagi,
Pyaas se bhukh se main bahekne lagi,
Dekh aao ye chath se hai chanda kahan,
Bekarari ki ye intehaan dekhiye.

Sun ke itra gya uske andaaj par,
Uski maasoom jid aur aawaz par,
Chath be bhaga gaya chaand ko dekhne,
Dundhta hun kahan se kahan dekhiye.

Har taraf jhakiyan taron ki saj rahi,
Har taraf dulhane aasman tak rahi,
Sab hain hathon ki chalni main Deepak liye,
Kitney pyaari hain dulhan yahaan dekhiye.

Par idhar to najaara hi kuch aur hai,
Aasman ka ye manjar bhi magrur hai,
Chaandni hai saji saath tare bhi hai,
Dulhano ka naya karwan dekhiye.

Apni bahon main le kar ke mahboob ko,
Pyaari si ek hidayat main dene laga,
Baith jao kisi ki najar na lage,
Chand se bhi hansi chand hai dekhiye.

Dekh kar aansman ke hansi chand ko,
Uska masumiyat se mujhe dekhna,
Jase aakhon hi aakhon main ho kah rahi,
Aap mere hai , main aapki dekhiye.

2 comments:

pankaj said...

bahut khoobsurat kavita hai.

pankaj

pankaj said...

pehchano to sahi.
don't say i have copied