Ads ....

Tuesday, August 29, 2006

A toughest phase of my life..........


Really the toughest phase of my life is going on as the exams going on will define the future of mine in the college of my parents dream...no matter what hard work i done for preserving it as i am not again struggling against this as with me again the wishes of my parents lord Ganesha and my friends are supporting me. Thank to God that i have such a great synchronization in my life spam.
I know that if i will make my self comfortable with the situation then the day is not for away when i will have everything of my dream at an arm's length but surely i have to work hard for this.And what i am doing this time and as usual many times to misuse the facility of internet in useless chatting and all.

This i very well know that it's of no use and once i will have a safer carrier i can do all these things again with more friends and in the real sense of friendship.Though it's tough for me to be committed in this way that in a day or two i will leave the orkut and do the sense full work of the net but one thing which i can do id that at least i can minimize the time constraints which i am using here in this way.

Hope this i can adopt and all the best to me for my carrier and the exams.

Saturday, August 19, 2006

EK aur mohabbat….

Notice board per ek notice aayi..jara gaur se suniyega..

Pyaari behno aur un ke moh bole bhaai.

Likha tha..

Aajkal mahool jara garm hai..

Ladkon ka para jara narm hai ..phir ye ladkiyan kyoun hai garmayi

Chauka bartan chod ker strike pe uttar aayi.

“Ek mohtarma hamare pass bhi aayin…

Bade role se dupatta hata ker chillaayin..

Wahan kya ker rahe ho idhar aao idhar..

Mard ho mard mard ka dharma to nibhao..

Aakhir boys hostel ke ho..girls hostel ke sath kahde to ho jao…

Sunte hi hamko bhi aa gaya tao..

Humne un se poocha jara batlao..

Aaj aayi hai hamari yaad..

Kal hum mer gaye the jab ghumti thi Day scholors ke sath..

Is per ek sajan bade itmeenan se bole

..bhole……………..

Is waqt to sath khade ho jao..

Pati ben ker na sahi bhai ban ker hi dharm nibhao..

Yah sunte hi 2500 watt ka bulb hamari aankhon main chamka..

Aisa laga jai se prem patr mil gaya ho jaane man ka..

Ye baat jab humne apne sangi sathiyoun ko hostel main battayi..

To boys hostel main bhi ho gayi ladayi..

Kuch bole …

Naajuk mauke ka fayda uthate ho…..

Strike main khade hone ke bahane ladkiyan ghumate ho…

Sharm nahi aati tumko abla ko youn fusllaate ho..

Peeche se awwaj aayi..

Mere bhai aap bhi to ker rahe the diljalon se dil ki lagayi..

Maine kaha khaamosh…chup……………

Raaj ki baton ko chupke se sunate hain..

KAhin kavita bana ker Seminaar hall main sunaate hain..

LEki ye to bata tujhe kaise chal pata…

To mahoday badi kaatil hansi muskuraaye aur boole..

Bhoole……………….

Tumhare hi transformer main hai humne bhi apne taar lagaaye..

Main haaran..

Dauda dauda main pehuncha apnee transformer ke pass…

Aur poocha….

Kyoun kerti ho mere viswaas ka satyanaash….

Wah boli

Mere sath to chalo kadki hai per..

Tumhare ander ye aag kyoun bhadki hai..

Mujhe per chlaate ho aur khud jo chaar shifton main duty bajjate ho..

Sunte hi main ho gaya cool..

JAwaab mila hi tha itna maakul..

Ki achaanak mujhe ek mahashay najar aaye..

Jo kahde the ek mohtarma ke duptte se jabran hath sataye..

Maine poocha kyoun ji kasa kaam kerte ho..

Private property per serkaary kaam kerte ho..

Chalo incrouchment haatao…

Strike kahtam hone se pehle bhaag jao..

Sun ker mahaashay ghabraaye..badi tejy se chillaye..

Bole…kya sahar ki development authority se ho

Maine kaha ji nahi main…

Rastrvaadi youth party se hun..

Mahilon ka sachha sevek hun.

Seva ka kaam kerta hun..

Aur bina mehntaana liya…logon ka kaam tamam kerta hun..

Sonte hi wo to bhaage hi bhaage ..

Ladikiyoun kea age se procter bhi aa gaye..

Bole kya hai..

Main bola ji………………..

Hawa hai………………

Jo her pal aapko hone ka ehsaas dilaty hai aur..

Aur ladikiyoun ki tarah hi dhokha de ke phir nikal jaati hai.

Thanx to you all..

Missing you doston.

Saturday, August 05, 2006

Ek aur baatA

----------------------------------------------------------------------

Uth ti girti hui palkon ki hya kya kahna...
Aap ko chu ke sama madhosh hua jata hai..
jism sheeshe ka tarasha hua ek tajmahal...
Khwaabon main pyaar ke Kuch aashiyaan dikhata hai.

Tum jo hote kareeb chum ke is murat ko..
Beech ke fasle pal bhar main main mita deta..
Apni aakhon main tere aks ko bitha kar phir..
Tere wajood main duniya ko main bhola deta..

Jo samaan pyaarka duniya main kahin aur na ho...
Un gulon se maintera gulsitan saja deta.
Tery dhadkan bhi jahan dil pe mere dastak dety..
Haale dil main bhi nigaahon se hi bata deta.

Na koi chhor hai in pyaar ki umeedon ka..
Jo nigahhon mainhi hain aashiyaan basa let.
Aur phir raaste kho jaatain hai un khwaabon main..
Jinko main dhoondhta rahta hun mery raaton main

Kuch yaadian..Mery jawani ki

Sitaaaron ke aage mera ek jahan ho'
Ki jis main mera ek hansi aashiyaan youn..
Nigaahon main masti kaa aalam ho aisa'
Main tanha rahun pa na tanhaiyan hon.
-----------------------------------------------------------------------------

Mery palkon ki ghani chanw me akshar aa kar
Kaun ho tum jo mujhe pyaar se youn samjha kar,
Apni maassom nigahon main duba dety ho..
Aur dil pyaar main paagal ho oob jata hai.

--------------------------------------------------------------------------------

HAr kadam pe mery ye saansh sabhi se pooche..
KAun hai wo jo is taah se youn mujhe chu ke,
Pyaar ki raah main deewano sa tanha choda.
Ab tera aks bhi aankhon main oob jata hao.

---------------------------------------------------------------------------------

Hazzaron khwaab raaton main tere mujhko jagate hain..
Tery har daastan mujhko wo gin gin ke sunate hain,
Najar ye bhool jati hai Neend jaalim bala kya hai..
Tera saya bhi gar hota raat aakhon mainkat jaati.

----------------------------------------------------------------------------------

Ki dhondhli si liye tasweer aankhon main bhatkta hun,
Tery masoom sararat main har pal dooba rahta hun...
Magar afsoos mujhko hai yahi tu hai kahn humdum,
Tere ehsaas ke saaye main madhoshi si chaati hai.

-----------------------------------------------------------------------------------

Sun aeeeeeee mery mohabbat...
Najaron ka sun takaja,
Mahroom hun khusi se....
Deedar ka hun pyaasa,
Dha aur na sitam tu...
Aankho ki pyaas bhar de,
Lamhon ko de ke apne...
Le jindagi mujhi se.

-------------------------------------------------------------------------

Jab talak roop ka deedar nahi karti hai..
Teer dil ke ye najar aar paar karti hai..
MAano saanson ko tery aah. ..ki jururat hai..
Dil li dhadkan main sada tery liye firta hun.

-------------------------------------------------------------------------

Saari duniya ki har nigaah hai jiske jaanib.....
Wo tere paawn tale sir ko jukata gaalib.....
Lab ka hilna hai tere dur muskuraati bhi nahi..
Phir bhi sapnon main saja tujh ko take jaata hun.

-------------------------------------------------------------------------

Ye mere ishq ki taabir najar aati hai.
Ek kamsin si hansi mujh ko jaga jaati hai...
Khwaab main hi ye sahi hota hai aksar jaalim...
Muskuraata to hun main apne aap ke bas main...