Ads ....

Showing posts with label farewell poetry. Show all posts
Showing posts with label farewell poetry. Show all posts

Wednesday, April 18, 2007

Farewell to you all friends ..........

Bas ek samose ki khatir lad jaana aur jhagad jaana......
Aur ek chaay ki pyaali main main do chaar mohoon ka jud jaana....
Wo ek maja ki bottel ke peeche bhaage 100 deewane.....
Fir ek hi ladki ke peeche do sage dost ke bhid jaana.....

Kab aayega ye manjar kab fir se gaali gunjegi......
Ab kaise kalrav Avishkaar main mery taali gunjegi...
Main kaise door rahunga is neski ki kaatil saamon se ....
Dar lagta hai saari yaadai jab Motilaal main chuutengi....

Wo saam 7 se 8 baje tak college ka traffic high tha...
Aur us se pehle canteen ka raula high figh tha ....
Kuch khaate hai kuch baithe hain kuch bekedri main rehte hai ...
Mujhko maulum hai sab ladke man hi man main ye kehte hai ...
Ab kaun chalayega DC ..Ab kahan milege ye CC....
Ab kahan raat ko 3 baje hum chaay peene jaayenge..
Sab ke man main ye tension hai ab kahan milenge B'day bum..
Aur kahan baith ker hot drinks ki bottel per bootel tootengi...
Dar lagta hai saari yaadai jab Mottilal main chuutengi...

Ab kaise hum shairng per se movie ke file utheyenge ...
aut jinhain dekh ker masti main hum apni raat bitaayenge...
Kya hoga un pyaari pyaari ladki wali sab gappon ka ....
Kya hoga farji kisson ka..ye tery ..wo mery wale hisson ka ...
Ab kaun savere darwaje ko peet peet ke uthayega...

Aur kis ke peeche hum saare ladke saj dhaj ker aayenge...
Ab kahan milengy sangam ki aur civil lines ke wo yaadain...
Youn lagta hai saari khushiyaan hum sab se ab to ruthengi....
Dar lagta hai saari baatain jab Mottilal main chuutengi.....

Saturday, August 19, 2006

EK aur mohabbat….

Notice board per ek notice aayi..jara gaur se suniyega..

Pyaari behno aur un ke moh bole bhaai.

Likha tha..

Aajkal mahool jara garm hai..

Ladkon ka para jara narm hai ..phir ye ladkiyan kyoun hai garmayi

Chauka bartan chod ker strike pe uttar aayi.

“Ek mohtarma hamare pass bhi aayin…

Bade role se dupatta hata ker chillaayin..

Wahan kya ker rahe ho idhar aao idhar..

Mard ho mard mard ka dharma to nibhao..

Aakhir boys hostel ke ho..girls hostel ke sath kahde to ho jao…

Sunte hi hamko bhi aa gaya tao..

Humne un se poocha jara batlao..

Aaj aayi hai hamari yaad..

Kal hum mer gaye the jab ghumti thi Day scholors ke sath..

Is per ek sajan bade itmeenan se bole

..bhole……………..

Is waqt to sath khade ho jao..

Pati ben ker na sahi bhai ban ker hi dharm nibhao..

Yah sunte hi 2500 watt ka bulb hamari aankhon main chamka..

Aisa laga jai se prem patr mil gaya ho jaane man ka..

Ye baat jab humne apne sangi sathiyoun ko hostel main battayi..

To boys hostel main bhi ho gayi ladayi..

Kuch bole …

Naajuk mauke ka fayda uthate ho…..

Strike main khade hone ke bahane ladkiyan ghumate ho…

Sharm nahi aati tumko abla ko youn fusllaate ho..

Peeche se awwaj aayi..

Mere bhai aap bhi to ker rahe the diljalon se dil ki lagayi..

Maine kaha khaamosh…chup……………

Raaj ki baton ko chupke se sunate hain..

KAhin kavita bana ker Seminaar hall main sunaate hain..

LEki ye to bata tujhe kaise chal pata…

To mahoday badi kaatil hansi muskuraaye aur boole..

Bhoole……………….

Tumhare hi transformer main hai humne bhi apne taar lagaaye..

Main haaran..

Dauda dauda main pehuncha apnee transformer ke pass…

Aur poocha….

Kyoun kerti ho mere viswaas ka satyanaash….

Wah boli

Mere sath to chalo kadki hai per..

Tumhare ander ye aag kyoun bhadki hai..

Mujhe per chlaate ho aur khud jo chaar shifton main duty bajjate ho..

Sunte hi main ho gaya cool..

JAwaab mila hi tha itna maakul..

Ki achaanak mujhe ek mahashay najar aaye..

Jo kahde the ek mohtarma ke duptte se jabran hath sataye..

Maine poocha kyoun ji kasa kaam kerte ho..

Private property per serkaary kaam kerte ho..

Chalo incrouchment haatao…

Strike kahtam hone se pehle bhaag jao..

Sun ker mahaashay ghabraaye..badi tejy se chillaye..

Bole…kya sahar ki development authority se ho

Maine kaha ji nahi main…

Rastrvaadi youth party se hun..

Mahilon ka sachha sevek hun.

Seva ka kaam kerta hun..

Aur bina mehntaana liya…logon ka kaam tamam kerta hun..

Sonte hi wo to bhaage hi bhaage ..

Ladikiyoun kea age se procter bhi aa gaye..

Bole kya hai..

Main bola ji………………..

Hawa hai………………

Jo her pal aapko hone ka ehsaas dilaty hai aur..

Aur ladikiyoun ki tarah hi dhokha de ke phir nikal jaati hai.

Thanx to you all..

Missing you doston.

Saturday, August 05, 2006

Kuch yaadian..Mery jawani ki

Sitaaaron ke aage mera ek jahan ho'
Ki jis main mera ek hansi aashiyaan youn..
Nigaahon main masti kaa aalam ho aisa'
Main tanha rahun pa na tanhaiyan hon.
-----------------------------------------------------------------------------

Mery palkon ki ghani chanw me akshar aa kar
Kaun ho tum jo mujhe pyaar se youn samjha kar,
Apni maassom nigahon main duba dety ho..
Aur dil pyaar main paagal ho oob jata hai.

--------------------------------------------------------------------------------

HAr kadam pe mery ye saansh sabhi se pooche..
KAun hai wo jo is taah se youn mujhe chu ke,
Pyaar ki raah main deewano sa tanha choda.
Ab tera aks bhi aankhon main oob jata hao.

---------------------------------------------------------------------------------

Hazzaron khwaab raaton main tere mujhko jagate hain..
Tery har daastan mujhko wo gin gin ke sunate hain,
Najar ye bhool jati hai Neend jaalim bala kya hai..
Tera saya bhi gar hota raat aakhon mainkat jaati.

----------------------------------------------------------------------------------

Ki dhondhli si liye tasweer aankhon main bhatkta hun,
Tery masoom sararat main har pal dooba rahta hun...
Magar afsoos mujhko hai yahi tu hai kahn humdum,
Tere ehsaas ke saaye main madhoshi si chaati hai.

-----------------------------------------------------------------------------------

Sun aeeeeeee mery mohabbat...
Najaron ka sun takaja,
Mahroom hun khusi se....
Deedar ka hun pyaasa,
Dha aur na sitam tu...
Aankho ki pyaas bhar de,
Lamhon ko de ke apne...
Le jindagi mujhi se.

-------------------------------------------------------------------------

Jab talak roop ka deedar nahi karti hai..
Teer dil ke ye najar aar paar karti hai..
MAano saanson ko tery aah. ..ki jururat hai..
Dil li dhadkan main sada tery liye firta hun.

-------------------------------------------------------------------------

Saari duniya ki har nigaah hai jiske jaanib.....
Wo tere paawn tale sir ko jukata gaalib.....
Lab ka hilna hai tere dur muskuraati bhi nahi..
Phir bhi sapnon main saja tujh ko take jaata hun.

-------------------------------------------------------------------------

Ye mere ishq ki taabir najar aati hai.
Ek kamsin si hansi mujh ko jaga jaati hai...
Khwaab main hi ye sahi hota hai aksar jaalim...
Muskuraata to hun main apne aap ke bas main...

Sunday, October 23, 2005

My third Karwachauth

Ya! it was the evening of 19th of October and we the roommates were gossiping about the girls suddenly my room mate suggest me to write a poetry as tomorrow will be the karwachauth and from last two Karwachauth i was imp inching my poetry on the collage notice board.Ya! great idea tomorrow this will be the Stunner.
And finally i write it , with the imagination of a family hood.And some how i was successful also as it was so much appreciated.

This was the one face of my present life on the other hand it was having only the flight of imagination and the darkness of reality as it is my second last semester and even though i am having no job or hope for the job in my hand.